Tum mujhe bhar deti ho,jab hoti ho mere pas,
Mai khali khali hota hu,jab nahi hoti ho pas
Kaun satayega mujhe ghadi ghadi,
Kaun mujh pe itna adhikar dikhayega,
Kaun kahega- chalo god me uthao mujhe
Kaun kahega-chalo hasao mujhe
Kone me khade hokar char aansu bahaaao
Mujhko paaanch bar jhuk kar pranam karo
Aur jakar us kone me late jaao
Wo bubu bubu kah k mujh se door jayega kaun?
Mujhe har rat itna satayega kaun?
Tum jo hoti ho ghar nahi sab kuch bhara lagta hai
Ek tumhare na hone se sab veerana lagta hai
Ye hath kin balon ko sahlayen?
Ye hath kiske liye chai banayen?
Teri har saans k sath jud gaye tar hai ab
Bechain ho jata hun din me kai baar ab
Tumhare sath sab accha lagta hai
Bagair tumhare sab suna lagta hai
Har chinni bat me mujhse kuch puchega kaun?
Har chinni ahat pe dar se chip jayega kaun?
Seene me mere apna sar chupayega kaun?
Apne dosto se milne per rok lagayega kaun?
zara zara si bat per ruthega kaun?
Mere chehre ki shikan ko padhega kaun?
Kiss k bad hotho ko pochega kaun?
Itna intzar tumhara karega kaun?
Mere baccho ki baaten karke wo mujhe hasata hai
Kya karun kambakhat dil mera usi pe aata hai
Mujhe duniya se chupane ki yun sazish kiye jata hai
Har rat dil me aur gahre utarta jata hai
Wo meri fikr me subah sham aayaten padhta hai
Dil ki har bat khud se akele me kahta hai
Lekin kya Karen sunai dusre kamre tak padta hai
Mujhko har roz chup chup k dekhta hai
Nastik tha pahle wo,ab astik bana jata hai
Meri fikr me har sham kuch aur paresha ho jata hai