Thursday, November 17, 2011

tumhara sath..........


Tum mujhe bhar deti ho,jab hoti ho mere pas,

Mai khali khali hota hu,jab nahi hoti ho pas

Kaun satayega mujhe ghadi ghadi,

Kaun mujh pe itna adhikar dikhayega,

Kaun kahega- chalo god me uthao mujhe

Kaun kahega-chalo hasao mujhe

Kone me khade hokar char aansu bahaaao

Mujhko paaanch bar jhuk kar pranam karo

Aur jakar us kone me late jaao

Wo bubu bubu kah k mujh se door jayega kaun?

Mujhe har rat itna satayega kaun?

Tum jo hoti ho ghar nahi sab kuch bhara lagta hai

Ek tumhare na hone se sab veerana lagta hai

Ye hath kin balon ko sahlayen?

Ye hath kiske liye chai banayen?

Teri har saans k sath jud gaye tar hai ab

Bechain ho jata hun din me kai baar ab

Tumhare  sath sab accha lagta hai

Bagair tumhare sab suna lagta hai

Har chinni bat me mujhse kuch puchega kaun?

Har chinni ahat pe dar se chip jayega kaun?

Seene me mere apna sar chupayega kaun?

Apne dosto se milne per  rok lagayega kaun?

zara zara si bat per ruthega kaun?

Mere chehre ki shikan ko padhega kaun?

Kiss k bad hotho ko pochega kaun?

Itna intzar tumhara karega kaun?

Mere baccho ki baaten karke  wo mujhe hasata hai

Kya karun kambakhat dil mera usi pe aata hai

Mujhe duniya se chupane ki yun sazish kiye jata hai

Har rat dil me aur gahre utarta jata hai

Wo meri fikr me subah sham aayaten padhta hai

Dil ki har bat khud se akele me kahta hai

Lekin kya Karen sunai dusre kamre tak padta hai

Mujhko har roz chup chup  k dekhta hai

Nastik tha pahle wo,ab astik bana jata hai

Meri fikr me har sham kuch aur paresha ho jata hai

No comments:

Post a Comment